|
pingonicechap
|
 |
« on: February 18, 2010, 02:52:26 AM » |
|
Pahala : Mere dadaji ki itani badi ladamani thi ki sari duniya ke jaanvar usi me chara kha lete the
Dusra : Bus ? mere dadaji ke pass to itna bada bambu tha ki wah aasmaan ko be chu leta tha.
Pahala : Kyun fenkata hai,tere dadaji use rakhte kahan the?
Dusra : Tere dadaji ki ladamani me.
Tinu : Kauwa telephone par baith kar kanw kanw kyon kar raha hai?
Chinu : Lagta hai wah apani aawaj dur tak pahunchana chahta hai.
Grahak : Chotu kya khana pakane me do gante lagate hai?
Chotu : Ji nahi,khana to teen din pahle he ban gaya tha, ab to bus use garam kiya ja raha hai.
Kavi hraday doctor (Apane marij se) : Kyon bhai raat ko nindra devi aai?
Marij (doctor se) : Pata nahi doctor sahab, mai to kaafi pahale so gaya tha.Ho sakta hai usake baad aai ho.
Saurabh: Kabhi kabhi mujhe apane charo or andhera he andhera najar aata hai.
Gaurav : Aisa khastaur se kab hota hai? Saurabh : Jab hamare ghar ki light chali jaati hai
|